OTP ka matlab hai One-time Password. Ek aisa password jo sirf ek baar hi (login, transaction, verification) ke liye use ho sakta hai.
OTP ka fayada ye hai ki isse aapka account secure rehta hai. Mai aapko SBI ka udharan deta hun. Jab bhi aap SBI ki Net banking ke dwara transaction karne ki koshish karte hai, SBI aapke mobile ek OTP bhejta hai, jisske bina transaction karna mushkil hai. Agar aapka password kisi ko pata bhi chal gaya to bhi wo aapke account se transaction nahi kar sakta kyoki uske pass aapka phone nahi hai.
OTP ko bhejne ka sabse aam jariya SMS hai. Google ne apne account ko jaada secure banane ke liye apne accounts par OTP security bhi shamil ki hai, jisko activate karne ke baad koi bhi aapke account me aapke password se OTP Password daale bina login nahi kar sakta. Google do Calling aur SMS dono ke jariye OTP bhejta hai.
India me kayi saari sarkari sevaye, jaise ki Aadhaar card, digital locker OTP ka upyog karti hai. Iska sabse jada upyog Online Netbanking me hota hai.
No comments:
Post a Comment