Thursday, 18 February 2016

Jaane internet se book download karne ki websites....

Books – Kitabe. Books hi ek aisi cheez hai jinse agar aap dosti karle to wo aapko lakhpati kya crorepati bhi bana sakti hai. Maan ligiye aapne Bill Gates ke book padhne mai 15-20 din lagaye. To aap samajh ligiye ki aapne bill gates ka poora 30-40 dino ka experience kuch dino me hi dekh liya hai.
Books padhne se aapko kuch aisi baate pata chalgi jinke baare me aapko abhi pata hi nahi hai. Aur aapka duniya ko dekhne ke nazariya hi badal jaega.
Aur aaj ke Internet yug ki bhadia baat ye hai ki aapko kuch bhi seekhne ke liye bas apne mobile me data pack cahiye. Purane jamane me aapko logo ke peeche bhagna padta tha, lekin ab duniya alag hai. Agar aap ye article padh rahe hai to aapke pass internet to hoga hi, aur agar aapke pass internet hai to mujhe lagata hai aap jindagi me jo chahe wo kar sakte hai. Jo bhi, kuch bhi, aap duniya ke sabse amir vyakti bhi ban sakte hai. Internet par aapke saamne sab kuch hai jitna aapki shamta(capicity)  hai utna seekh sakte ho.
Internet hone ke baad bhi agar aap logo ke peeche peeche bhag rahe ho, ya college degree na hone ka bahana bana rahe ho, To aapka kuch nahi ho sakta. Aap kisi aur ke peeche lag kar life mai kuch nahi ban sakte.
Mai is article mai aapko kuch website batauga, jaha jaakar aap Free Books download kar sakte hai. Books ka ye fayada hai ki aap inhe apne computer/mobile mai hamesha rakh sakte hai. Internet connection ho ya na ho.

Wikibooks

Wikibooks wikipedia waalo ke website hai, yaha par aap apni books bhi daal sakte hai aur, baaki logo dwara share ki gayi books download bhi kar skate hai. Agar aapko kisi book mai kuch mistake lagi to aap use bhi sahi kar sakte hai.

Project Gutenberg

Is website par 49,000 se jaada books hai, aap books ko mobile format, pdf format me download kar sakte ho aur inhe online bhi padh sakte ho.

Bookboon

Students aur travelers ke liye yaha free eBooks available hai, aapko is website par koi ID banane ki jaroorat nahi hai, bas seedhe book download kar sakte hai.

FreeBookSpot

Is website par aapko hazaro books mil jaegi. Programming se lekar novels tak sab kuch. Koi registration ki jaroorat nahi hai seedha books download kar sakte hai.

Free-eBooks

Free-eBooks par aap free ebooks download kar sakte hai, books ke sath sath is website par magazines bhi uplabdh hai. Aapko is website se books download karne ke liye ID banani padhegi, ID bana bilkul free hai.

No comments: