Thursday 18 February 2016

Mobile chori ya khone per kya kare?? jaane ye 5 tareeke.

Aajkal har koi smartphone use karta hai. Har kisi ke pas koi na koi android mobile mil jaya hai. Ayse me smart phone khona or chori hona aam baat hai. Daily pata nahi kitno ke mobile gum ho jate hai. But problem tab hoti hai, Jab aapki personal data phone me hoti hai or aapke gmail, facebook, twitter jaisi ID phone me log in hoti hai. Isse dar rahta hai ki kahi koi humari ID ka galat jagah par upyog na kare.
Mobile Khone Ya Chori Hone Par Kya Kare
Magar ab aapko tention lene ki jarurat nahi hai, Ab aap apne dusre phone se chori hue mobile ko puri tarah se control kar sakte ho. Or apni full personal data secure kar sakte hai. Isse chor ko ya fir aapka khoya hua mobile jise bhi milega, Usko mobile ki jagah sirf ek khilona hi hath lagega. Ek aysa dabba jisse sirf bachche hi khel sakte hai.
Aaj ke time me market me ayse ayse apps available hai ki sab ke bare me koi bhi nahi jan sakta hai. In me se kuch apps bahut kaam ke hote hai or humari badi se badi problem solve kar sakte hai. Jisse hume android mobile se hi bahut kuch control karne ke power mil jati hai. Isi technology ki help se hum apne khoye huye phone ko apne dusre mobile se control kar usme se jaruri personal data remove kar sakte hai.
Is post me mai aapko kuch aysi tricks bta raha hu. Jinse aapko khoya hua ya chori kiya gaya mobile fir se aapko mil sakta hai. Ya fir aap apne mobile me se apni personal information delete kar sakte hai. Isse aapko sirf phone khone ka nukshan hoga baki aapki sabhi data secure ho jayegi.

5 Important Tips: Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare

Apna mobile khone bad uske wapis milne ki sambhavna to bahut kam hi hoti hai. But aap apni taraf se kuch koshish try kar sakte hai. Ho sakta hai aapko koi mobile wapis bhi lota de. Kyuki aap us mobile ko dabba bhi bana sakte ho or aysa karne se aapka mobile chor ke koi kaam ka anahi rah jayega.
1. Track Your Mobile Location
Mobile ke khone ya chori hone par sabse pahle aapko phone ki location pata karke phone ko wapiss pane ki koshish karni chahiye. Isme google aapki help karega. Google aapko phone ki location btayega. Jisse aapk apne phone ki jagah ka pata chal jayega. sath hi aap google ki help se apne phone me ring bhi baja sakte hai. Achi bat ye hai ki agar aapka phone silent bhi hoga to bhi ring full value me bajegi. Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post me maine iske bare me details se btaya hai. Aap ek bar is post ko jarur padhe
2. Warning For Thief
Android device manager me aap chor ko warning de kar aaghah kar sakte hai. Iske alawa aap apne phone par phone ko chri karne wale ko message send kar sakte hai ki aap ye phone wapis kar de warna aap is phone ko deactivate kar donge, phone ki sim band kar donge fir ye mobile sirf ek dabba ban jayega or aapke koi kaam ka nahi rahenga. Isse acha to aap is phone ka mujhe wapis kar de. Iske liye aap chor ko ya jise bhi aapka khoya hua phone mila ho ko 100-500 rupess ka offer kar sakte hai. Message me aap apna contcat no. add kar sakte hai. Agar phone pane wale ko aapki bat samajh aa gayi to wo aapka phone wapis louta sakta hai.
3. All Account Ko Secure Kare
Aapke mobile me agar gmail, facebook ya twitter koi bhi social account log in hai or aapka phone chori ho jaye ya kahi kho jaye or upar btayi no.1 trick se bhi mobile ka pata na lage to sabse pahle aap dusre mobile me log in kar apni sabhi ID  par se log out kare. Sabhi social network par other device par Sign Out All Other Session ka option hota hai. Isse aapke sare accounts secure ho jayenge or koi bhi aapki ID ka galat upyog nahi kar payega. Agar aapko kisi social site par is option ka pata nahi hai to aap niche commnet me puch sakte hai.
4. Unclick Other Apps Account
Mobile me other apps jaise drop box or google drive jaise bhi hote hai. Inme bhi aapki personal data ho sakti hai. So mobile ke chori hone par aap dusre mobile me in apps par log in kar ke other apps ko unclick kar sakte ho. Iske liye aap in apps ki profile settings me jaye waha security option me unclick ka option hota hai. Us par click karke apne khoye hue mobile me se apni sari data delete kar sakte ho
Mobile phone chori hone par sabse pahle aap mobile ki sabhi Seem Blockkare. Jisse chor aapki sim se galat call na kar sake. Iske liye aap apni sim ke castomer care me bat kar sim block karwa sakte ho.
5. Delete Mobile All Data
Agar aapko lagta hai ki ab phone wapis to mil nahi sakta hai to yase mai aap mobile ka data delete kar sakte hai. Jisse jisko bhi aapka phone mile ya jisne bhi aapka phone curaya hai. Uske hath aapki personal data na lage. Iske liye aap dusre mobile ke android device manager me jaye waha aapko phone ka data delete karne ka option mil jayega. Is featur me kisi mobile data ko dusre mobile se delete kiya ja sakta hai. Android device manager me aapko iske alawa bhi phone lock or ring ka option bhi mil jayenge. In feature ki help se aap apne mobile ko puri tarah control kar sakte hai. Fir chahe aapko phone kho gaya ho ya fir chahe chori ho gaya ho.
Ummid karta hu aapko is post me achi jankari milegi. Or aapko phone chori hone ke bad kya karna ahai ke bare me puri jankari milegi. Agar mai sahi hu to is post ko share jarur kare.

No comments: