Thursday 18 February 2016

Cricket me use hone wali 10 technology jaane.

) Stamp Camera

Stamp Camera

Pich me lage stamps me se bich wale stamp me camera laga hota hai. iske alawa stamp ke piche jameen me ek speeker daba diya jata hai.  iski help se runout hone par sahi decision liya ja sakta hai. ya fir bowler ke hath se sidhe ball stamp se takrati hai to uska pata chal jata hai. or stamp ke piche lage speaker se batsman ko out or not out ke bare me pata chalta hai.

2) Snickometer

Snickometer
ye trick sound par kam karti hai. jab ball bowler ke hath se chhutati hai or pich se takrane se le kar batsman ke balle se takrane tak i aawaz Snickometer record karta hai. kei bar jab ball bat ke bahut karib se gujarti hai to ye technology bahut kam aati hai. agar ball bat se jara sa bhi touch huyi hogi to Snickometer bta deta hai.

3) Ball Spin RPM

Ball Spin RPM
Is tecknic ko khas kar ke spinero ke liye use kiya jata hai. spin bowler ball ko kitna turn karta hai. ball bowler ke hath se nikalne ke bad kitna sip hoti hai. ye use minute ke hisab se btata hai. isi ki wajah se hume tv par ball ki rotanational pata chal jati hai.

4) Hawk Eye

Hawk Eye
Hawk Eye ka kam hota hai LBW ka decision dena. isse pata chalta hai ki ball wastav me stamp par lagti ya nahi. isko anjam dene ke liye 6 camere lagaye jate hai. jab bowler ball karta hai to ye 6 camere ball ke raste ko track karte hai. or 6 alag alag 3D image banate hai. fir un sabka decision karke reslut dete hai. ye kam seconds me hota hai.

5) Pich Vision

Pich Vision
Pich Vision se ye pata chalta hai ki kounse batsman ne kounsi ball kaha par kheli hai or kounse bowler ne kaha kaha ball ki hai. is tecknic se match me feki jane wali har ek ball par nazar rakhi jati hai. isse btasman or bowler dono ki kamiyo ka bhi pata chal jata hai. ki u-nki kya kya kamjori hai. or iski wajah e batsman or bowler dono apne work me sudhar kar sakte hai.

6) Spidercam and Drone

Spidercam and Drone
Match me aapne kei bar lalten ke jaise camere to dekhe hi honge. in camero ko Spidercam kahte hai.  or drone ke bare me to aap jante hi honge ki udne wala camera ajkal cricket me inka bhi istemal ho raha hai. iska kam hota hai cricket match par upar nazar rakhna. ye keval or tar ki help se ek jagah se dusri jagah par move kar sakte hai. or six and forth shot ka review hume dikhate hai.

7)  LED Stamp Bails


Pich me jo stamp lage hote hai. uunme se side wale dono stamp me lighting lagi hoti hai. ye led stamp hote hai. inki keemat bahut jyada hone ki wajah se inhe khas match jaise world cup me hi use kiya jata hai. iski khas bat ye hai ki stap se ball ke takrane se bails stamp se lag ho jati hai or inme lights jalne lagti hai.inse wicketkeepar ke stamp karne par decision lene me aasani ho jati hai.

8) umpire Camera

umpire camera
aapko ye jan kar hairani hogi ki umpire jo cap pahnta hai. usme bhi camera hota hai. ise isliye use kiya jata hai ki umpire ke field me hone par rview clear mil jata hai. aapne kei bar dekha bhi hoga ki jab ball umpire ke pass se gujrati hai to use bilkul clear dikhaya jata hai. ye sab umpire ki cap me lage camere ka kamal hota hai.

9) Grafhics Packge


Tv par hume jo score board dikhaya jata hai. ise graphics package se banaya jata hai. isme match ke liye khas package banaye jate hai. isme veiwer ko match ka score, batsman ka record, career ke bare me jankari di jati hai. grafhics packge me in sabke pack banaye jate hai. jise jarurat padne par viewers ke samne score board ke roop me dikhaya jata hai.

10) Hot Spot

Hot Spot
ye ek aysi trick hai jisme review ko black karke dikhay jata hai. agar ball bats ko kahi se bhi choo leti hai to waha white spot ban ata hai. jisse pata chalta hai ki ball ne bat ke kis part ko touch kiya hai.

No comments: