Thursday, 18 February 2016

kya farak hai Organic search aur Paid search mai??? jaane.

Jab aap Google ya Bing par kuch bhi search karte ho to aapka search page do tarha ki search result deta hai Organic aur Paid results
Organic search result wo results hai joki search karne wale ki jaroorat ke hisaab se bante hai. Matlab aise results jinhe user dhund raha hota hai.
Paid search results Advertisements hoti hai – bohot se log jaise ki Ecommerce website (Flipkart, Amazon) Google ko apni website top par lane ke liye paise deti hai.
Jab hum Organic traffic ki baat karte hai, ye wo traffic hota hai jo Google search result ke dwara naturally aata hai. Aise traffic ko laane ke liye hum koi bhi add nahi dete. Jab hamari website apne aap Google ke first page par aati hai aur use result se hamari website par traffic aa raha ho use organic traffic kehte hai.
Google apne organic aur paid search result ko dikhata to ek hi page par hai, leking unme kuch farak rakh deta hai jisse ki search karne waale ke saath dhokha na ho aur use aasaani se pata chal sake ki Paid Ads konse hai. Alag dikhane ke liye Google apne Ads ke age kuch na kuch nishani jaise ki Background ka color change ya chota sa AD likh deta hai.
organi-aur-paid-mai-farak
Is Figure mai aap dekh sakte hai ki Google kis tarha Ads aur Organic search results ko alag alag dikhata hai.
Mujhe umeed hai ki is article ne aapki help ki hogi,
Thank you for reading :)

No comments: