Facebook ek online duniya hai, yaha har vyakti Facebook alag alag dhang se karta hai. Koi apne dosto se connected rehne ke liye, koi apne Business ko promote karne ke liye aur koi duniya ki khabar rakhne ke liye. Facebook hum sabko jodta hai.
Lekin facebook ke sath ek problem ye hai ki aapki updates har vyakti ko nahi dikh paati aur agar dikhti bhi hai to wo updates jadatar feed ke top par nahi aa pati. Iska kaaran Facebook ka status ranking system hai, aap nahi bata sakte ki Facebook kya upar layega aur kya neeche. Aur is wajha se aapki post par kam likes aate hai.
Is article me hum kuch tariko ko jaanege jinhe use karke hum jada se jada like la sakte hai.
Hamesha Positive Rahe
Positive aur motivating status updates par jada likes aur shares aate hai. Koi bhi vyakti kis dukh bhare status ko share nahi karna cahega. Good news jada jaldi facebook par felti hai.
Photos ka prayog kare
Ek research se pata chala hai ki Photo ya photo par lekh wale status updates text updates se jada likes laate hai. To jab bhi ho sakte Facebook par photo ja use kare.
Video Sabse Bhadiya
Ab jo naya trend chal raha hai wo hai video ko. Video daalna images daalne se bhi acha hai, Video me sabse jada likes aane ki sambhavana rehti hai.
Sahi Timing Chune
Alag alag time par status updates daal kar test kare ki kis wakt status daalne se sabse acha response aata hai. Aur phir ek sahi time chunkar uspar post karne ki koshish kare
Taza Fresh post daale
Hamesha latest aur hot topics par post karne ki koshish kare, koi aisi update de jisse aapke followers ko kuch naya jaane ko mile.
Sawaal pooche
Ye sabse bhadiya tarika hai, aapne dekha hoga ki kitne saare status jine YES/NO poocha jata hai jada comments laate hai. To aap bhi kuch aisa status banaiye jisme logo se aap sawaal poochege, aur logo ko sawaala ka jawaab dene ke liye aapki post ke neeche comment karna hi padega.
Apne followers se jude aur unki baat sune
Agar aapki status par followers comment kar raha hai to aapne followers se aur gehra sambandh banane ke liye unke comments ka reply de sakte ho. Unse baate karo, unki problems solve karo. Apne follower ko apni dil ki baat batao aur koi challenge do.
Aap apne followers ke sath aur jada engagement bhadane ke liye contests bhi rakh sakte ho, jaise ki “sabse acha comment karne waale ko ek t-shirt milegi”.
Facebook par popular banna aajkal thoda mushkil ho gaya hai, lekin agar aap popular hogaye to aapko bohot fayada hoga. Aap upar diye gaye tariko ko lagakar dekh sakte hai. Bas kabhi haar na manna, kuch experience ke baad aapko apne aap pata chal jayega ki aapki audience ko kya chaiye.
No comments:
Post a Comment