Thursday, 18 February 2016

Online shopping kaise kare??? Jaane Hindi me.

Dosto aap sab jante hai ki aaj duniya ka 90% kaam online hi hota hai. par aaj bhi bahut se log ayse hai. jinhe internet ke bare me jada kuch pata nahi hai. aaj hum bat karenge ki online shopping kaise ki jati hai. mai chahata hu ke mai sari duniya ko up to date bana du par mai akela ye kaise kar sakta hu. isliye aap mera sath de or is post ko pad kar ignore mat kare apne dosto ke sath share karke logo ki madad kare. online shopping karke hum paise ke sath sath samay ki bhi bachat kar sakte hai.

Online Shopping Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye?

internet se online shopping karne se pahle hume ye pata hona jaruri hai ki online shopping karne ke liye humare pas kya kya hona jaruri hai. yaha mai aapko iske bare me bta raha hu.,
1. Computer, Tablet, Mobile. (aapke pas jo bhi ho.
2. Email ID (online shopping wali site par sign up karne ke liye)
3. Money/Paisa (saman kharidne ke liye)
4. Credit Card/Debit Card (bhugtan karne ke liye)
5. Address (saman receive karne ke liye)

Online Shopping Karne Karne Me Kya Fayda Hota Hai?

online shopping karne se bahut fayde hai. yaha mai aapko kuch point de raha hu. aap khud samajh jaoge.
1. Samay Ki Bachat
sabse badi bat samay ki bachat hoti hai. kyuki agar aap dukan par saman lene jaoge to aapko khud dukan par jana padega jabki online shopping karne se saman khud aapke ghar par pahuchaya jayega.
2. Paise Ki Bachat
jab hum kisi dukan se saman kharidenge to jahir hai ko dukandar bhi us saman par humse 10-20 rupe ka munafa kamayega. online shopping karne se dukandar ka benefit kam ho jata hai. or company direct saman humare ghar bhej deti hai.
3. Acha Or Sasta Saman
bazar me dukandar kei bar hume nakli saman de dete hai. online shopping karne se par hume originol saman hi milega.
4. 30 din tak saman wapis karne ki suvidha
online saman karne ke bad aap agar aapko wo saman pasand na aaye to aap use 30 din se pahle wapis bhi kar sakte ho. jabki dukan pe se kharida hua saman dukandar wapis nahi karta hai.
5.  Payment saman ghar pahuchne ke bad hota hai.
jab aap online shopping karte ho to aapko uska payment saman ghar aane ke bad me karna hota hai. isse aap apne saman ko achi taraha check karne ka mouka bhi mil jata hai.
6. Pura saman ek order se
bazar me hume ek ek saman ke liye kei dukano par jana padta hai. par online shopping se hum sara saman ghar baithe manga sakte hai.
7. Mahnga saman hone ka dar khatm
Bazar me hume dar rahata hai ki kahi koi hume koi sasta saman mahnga nahi de de. par online saman kharidne par ye dar nahi rahta. kyuki humarew saman bahut si copany hoti hai. jo sabse sasta de hum use select kar sakte hai.
to dosto ab aap khud samajh hi gaye honge. so aapko or kuch batane ki jarurart nahi hai. to chaliye aage jante hai ki online shopping kaha se kare

Online Shopping Kaha Se Kare?

Aapke dimag me ye sawal aa hi gaya hoga.  wese to bahut si sites hai. online shopping karne ke liye. jinme se kuch ke bare me mai aapko bta deta raha hu.
1. Flipcart.com
2. amazon.com
3. OHMH.IN
4. yepme.com
5. snapdeal.com
6. myntra.com
7. jabong.com
8. homeshop.com
9. junglee.com
10. ebay.in
11. paytm.com
12. ensoga.com
13. aliexpress.com
14. naaptol.com
15. infibeam.com
16. shopclues.com
17. indiatimesshoping.com
18. ezoneonline.com
19. fashionara.com
20.  babyoye.com
online shopping ki or bhi bahut si site hai. par inme se popular sites  Flipcart.com, amazon.com, paytm.com, snapdeal.com hai.  aapko jis sites par saman sasta or acha mile aap usse online shping kar sakte hai.

Online Shopping Karne Ke Liye Flipcart Par Account Kaise Banye?

dosto aap kisi bhi sites se online shopping karo lagbhag sabhi ki same procces hai. yaha mai aapkoFlipcart.com ke bare me btaunga. kyuki mai isse hi jada shoping karta hu.
Step 1
Sabse pahle aap www.flipcart.com site par jaye or Sign Up par click kare.
Step 2
ab ek popup windows khulegi
 flipcard sign up
1.  yaha par apne mobile number bhare.
2. Ab Continue par click kare.
Step 3
ab ek or popup windows khulegi
 flipcard sign up forum
1. aapne jo mobile nuber enter kiye hai. un par ek msg aayega. agar msg na aaye to apne number yaha check kar le
2. us msg me 6 number ke code honge unhe yaha enter kare.
3. ab apne account ke liye ek password choone jo aap yaad rakh sake.
4.SIGN UP par click kare.
ab aapka flipcart site par account to ban gaya hai. ab hum sikhenge ki

Flipcart Se Online Shopping Kaise Kare?

Ab aap fir se www.flipcart.com ke home page par jaye.
select product
yaha par aap dekhenge ki aapke samne bahut sare products ke ads show ho rahe hai. aap ko jo chahiye aap uske puri details, rates pad kar shop now par click kare.
Step 1
Agar aap mobile use kar rahe ho to ek aysi popup windows khulegi.
buy any product
1. yaha par diye gaye codes ko sahi sahi bhar le.
2. Send Msg par click kare.
ab aapke mobile number par ek msg aayega usme ek link hogi. us link par click kar ke aap flipcart ka apps download kar le.
Step 2
Agar aap computer use kar rah hai to ek aysi windows khulegi.
1. BUY NOW par click kare.
Step 3
Ab jo windows khule usme sari jankari sahi sahi bhare.
1. yaha apna naam likhe
2. isme apni city ke pin code. aapke waha jo bhi lagte ho bhare.
3. apna wo address dale jaha par aapko saman recieve karna hai.
4. isme apni khariddari ke hisab se kisi bhi saman ka naam likh de.
5. apne mobile number likhe.
6. last me SAVE & CONTINUE par click kare.
Step 4
ab ek or windows khulegi.

1. agar aap koi saman gift ke roop me apne kisi dost ko bhejna chahate ho to yaha par click kar ke aap apne dost ko gift kar sakte ho.
2. last me CONTINUE par click kare.
ab aapne flipcart se saman to kharid liya ab aapko payment karna hai.

Online Saman Kharidne Par Payment Kaise Ki Jati Hai?

payment karne ke kei tarike hai. par mai aapko sabse aasan tarika btaunga, kisi bhi bank ke ATM se payment karna yani Debit Card se. Jaisa ki aap image me dekh rahe hai. aap isi tarike se payment kar sakte hai.
debit card information
1. Debit Card par select kare.
2. yaha apne card ka 16 number ka ank bhare.
3. apne card ki expire date select kare.
4. apne card ke piche 3anko ka ek cvv number hota hai. wo yaha dale.
5. Pay Now par click kare.
Ab aapke number par ek msg aayega usme  OTP password honge. wo aapko verify karne hai.
otp code verification
1. apne otp passwordd enter kare.
2. SubAb aapka payment ho chuka hai. ab 2 s3 5 din me aapke dwara order kiya hua saman aapke btaye address par pahuch jayega. agar aapko online shopping se sambandhit kuch puchna ho to comment me apni problem likhe.mit button par click kare.

No comments: