Thursday 18 February 2016

Google chrome me kya app jante hai ye tricks?? jaane.

Google chrome browser duniya ka no.1 browser hai. pichle kuch salo se google chrome top par hai. iski wajah hai. chrome me bahut ache feature. isme itne sare features hai ki sabke bare me bahut kam log hi jante hai. aaj mai aapko google chrome ke ayse hi kuch featre ke bare me bta raha hu. jinse aap kam time me shortcut chrome se work kar sakte ho.
google chrome tips
Google chrome me kuch ayse features bhi hai jinhe hum offline bhi use kar sakte hai. jaise games, video, music, typing etc. ji ha dosto chrome me aysi seriveces bhi hai jinhe aap shayad hi jante ho.  actually hum chrome browser ko log sabse jada pasand karte hai. isliye aapko bhi iski kch jankari honi chahiye. jisse aap bhi google chrome ko enjoy kar sako.

Google Chrome Interesting Tips & Tricks

kisi time internet exproler duniya ka first number ka browser hua karta tha. but google chrome ke market me aate hi isne marketing badhani start kar di. pichle 2-3 year se google chrome world ka no.1 browser par barkarar hai. is post me mai aapko iske kuch feature ke bare me bta raha hu. aapko pasand aaye to post ko share jarur karna.

1 – Google Chrome Game

jab chrome network se connect nahi hota to koi bhi site ya searching karne par offline chrome me dynasore dikhayi deta hai. real me ye ek game hai. jo chrome user ke liye network problem hone par time pas ke liye banaya gaya hai. Space key dabate hi ye game start ho jata hai. its amazing, bahut hi acha feature hai. aap try kar ke dekh sakte hai. game chalane ke liye apne pc me se internet connection disconnect kijiye or google chrome ko open kar ke kuch bhi search kare. isme aap khud ka high score bhi bana sakte hai.

2 – Paste and Search Option

google chrome browser me kuch ayse featurs hai jinki help se aap time bacha sakte hai. yani jab aapke pas time kam ho or bahut jada kaam karna ho to aap in feature ko use kar sakte ho.
  1. jab hum kisi website par visit karte hai to uske kch topics ko search karne ke liye hume use copy karke fir new wondows me search karna padta hai. but chrome browser ki help se aap ise aasan kar sakte hai. aapko jo bhi topic search karna hai use select kare or mose ka right button dabaye . ek popup windows show hogi. usme “Search google for ‘xxxxxxxxxxx'” likha hoga. us par click kare. topic direct new windows me search ho jayega.
  2. jab aap kisi link ko select karke mouse ka right button dabaoge to image 2 jaisi popup windows show hogi. usme “Go to xxxxxxxxxxxxxxx” par click kare site automatic new windows me open ho jayegi.
  3. 3 – Unit Converter

    kya aap jante hai ki google chrome se unit converter ka kaam bhi kiya ja sakta hai. ji ha aap chrome ko nit converter ki tarah bhi use kar sakte hai. aapko jis unit ko convert karne hai use chrome search bar me type kare. answer typing karne ke sath hi show ho jayega. exam:- 1 kilometers to meters, 1 kilometers to meels. yani jis unit ko convert karna hai uske bich me “to” lagana hai.
  4. 4 – Chrome Calculator

    chrome browser ko calculator ki tarah bhi istmal kar sakte hai. same nit converter ki tarah
    chrome calculter

    5- Chrome Notepad

    Notepad ki jarurat har compter users ko hoti hai. hum kuch bhi typing karne ke liye notepad use karte hai. jo ki lagbhag har pc me hota hai. magar chrome ne iska shortcut tarika diya hua hai. aap chrome ko notepad ki tarah bhi istmal kar sakte hai. chrome me notepad open karne ke liye search bar me“data:text/html, <html contenteditable>” enter kare. notepad open ho jayega. abaap isme offline typing kar sakte hai. blogging karne walo ke liye ye bahut acha feature hai.
    chrome notepad

    6 – Chrome Video Player

    VLC player, GOM player me to aap humesha movies, video songs dekhte ho. kya aapko pata hai ki chrome me bhi video chalayi ja sakti hai. yes, aysa ho sakta hai. aap chrome me video play kar sakte ho. iske liye video file ko open kijiye or kisi bhi video file ko mouse se tha kar chrome me daliye video play ho jayega.
    chrome video player

    7 – Chrome Music Player

    Bilkul video player ki tarah chrome me music bhi chala sakte hai. same wese hi kisi bhi songs ko mose se utha kar chrome me paste karo. chrome mpe player start ho jayega.

No comments: