Monday, 15 February 2016

Online railway booking kaise kare???????

Step 1

Online Railway Booking Kaise Kare, Sabse pehle Indian railway ki online reservation website http://www.irctc.co.in/ ko open karen. (irctc login registration, irctc sign up new account, railway online booking, indian railway online booking, irctc new user registration, irctc.co.in login, irctc registration form).

Step 2

Online Railway Booking Kaise Kare. Yadi aap ismay registered hain aur apka account hai to apni User ID aur password dalkar apna account open karen. Yadi app registered nahin hain to sabse pehle is website mein registered hone ke liye sign up par click karen. Ek easy form aayega jise bharkar app registered ho jaayenge aur apko User ID aur password  mil jaayenge jiske dwara aap apne indian railway ke account mein jaa sakenge. 

Step 3

User Id aur Password se login karne ke baad website ka naya page khulega jisme baye haath ki taraf  box honge.
Pehla box From Station ke paas hoga. Uske andar us station ka naam likhen jahan se aap yatra karne jaa rahe hain.Doosra box To Station  ke pass hoga. Uske andar us station ka naam likhen jahan tak aap yatra karna chahte hai.
Teesre box Jorney Date ke paas hoga jiske paas ek calendar sa bana hoga. Us par click karte hi calendar aa jayega. Usmein se mouse ke dwara aap apni journey date ka chunav karen. 
Online Railway Booking Kaise Kare. Iskay baad ke box ke pass ticket type likha hoga jisme se apko E-ticket ya I- ticket mein s ek ka chunav karna hoga. E-ticket lene par apko ticket aapki email id par aur I-ticket lene par apko ticket postal address par bheja jayega. Apko E-ticket ka chunav karna chahiye jisse turant hi ticket prapt ho sake.
Ab captch bharkar Submit wale button par click karen. 

Step 4

Submit button par click karte hi apke saame trains ki list aa jaayegi. Ab aap jis train se jaana chahte hain usay dekhen aur jis coach se jaana chahte hain us tarin ke samane us coach par click kar den. Maan lijiye aap tamil nadu express mein sleeper coach se jaana chahte hain to uske saame  likhe SL par click kar den. 

Step 5

Apke click karte hi ek page khulega jiske upar us train ki us din ke liye seat availability likhi hogi. Agar us din us train mein jagah hai to neech likha hoga Book Now. Aap us par click kar dijiye. 

Step 6

Book Now par click karte hi Ek from aayega jisme box bane honge jisme apo yatra kar rahe yatriyon ka vivran dena hoga. Maan lijiye keval aap hi yatra kar rahe hain to Name ke niche bane box ke andar apna naam likhe.
Phir Age ke niche bane box ke andar apni umr likhen.
Phir Gender ke niche bane box mein apna gender chune jo male ya female hoga.
 Iske baad Birth preference ke niche bane box par click kar aap apni pasand ki birth chun sakte hain.
Iske baad yadi aap senior citizen hain to app Senior Citizen ke niche bane box par nishan laga sakta hai. Lekin yatra ke dauran apko apni umr ka original praman patra dikhana hoga.
 Ab form mein niche ke aur yadi koi 5 varsh tak ka baccha apke saath ja raha hai to uska vivran likhe. Uski alag se ticket nahin banegi.
Ab captch bharen aur Mobile Number wale box mein apna mobile number bharkar Next par click kar den. 

Step 7

Next par click karne ke baad ticket ke paison ke payment ke liye ek naya page khulega jis mein se apko payment ka tarika yani credi/debit cad se payment ya net banking se payment karne ka chunav karne ke liye kaha jaayega. Aap jis bhi tarike se payment karna chahte hain us par click kar dijiye. Apni bank ke mange gaye details dijiye. Ek baar payment ho jaane ke baad apka reservation ka ticket email aur sms ke dwara apke pass aa jayega.

Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

No comments: