Sunday 3 April 2016

Android KitKat 4.4.4 Ko Lollipop Me Update Kaise Kare


Android OS Update Karne Ke Liye Kya – Kya Chahiye –
Apka Phone me Wifi ya 3g Internet hona chahiye kyonki Update Package 400 -1024 MB ka hota hai.
Apke Phone ka internal Storage kam se kam 1 GB khali hona chahiye.
Android OS unhi Phones me ho sakta hai jisse Company ke dwara Update Provide ki gai ho.
Jab aap Update karenge to apke Phone ki Battery 30% se upar charge hona chahiye.
Android Virsion Ko Update Kaise Kare –

Step 1) Apne Phone ke Setting me jakar About par click kariye

Step 2) Ab Software Update par click kare fir Check For Update par click karte hi apko pata chal jayega ki apka phone Update ho sakta hai ki nahi….Update karne ke liye Download and Install par click kare. Ab jab apke phone me pura Software Update ho jayega to apka phone Automatic Restart ho jayega aur OS Virsion bhi Update ho jayega….Enjoy !

Humare Ye Post Bhi Padhiye –
Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Unlock Kaise Karte Hai
Android Phone Me Screenshot Kaise Le
Android Phone Se Computer Me Internet Kaise Chalaye

Dosto Agar apko Update karne me koi dikkat aa rhi ho to aap mijhe Comments kar ke puch sakte hai. Is Post ko apne Friends Circule me Share kare Aur hume Subscribe karna bhi na bhule…Dhanwad!

No comments: